Kaash
Jab padh lete tum
Har ek panna uss Kitaab ka,
Jo sun lete agar meri baatein
kisi subah chai ke saath baithe,
agar ek shaam dubte suraj ki roshni
hamare chehre pe ronak laati,
Kisi raat Chaand ke peeche chalte
kaash thaamte tum mere haath,
Muskurakar dekhte tum mudkar
aaine mein mujhe savarte huye,
Tab shayad tumko aati main samaj,
Tab shayad hum phir se khud ko dhund pate,
Na jaane kab shabdon ki Khamoshion
Ne hume hi chup Kara diya,
Pata hi nahi chala.
Tute huye rishton ke liye,
Prerana
Comments
Post a Comment