Bol do
Tut jaane ka dar toh sabhi ko hai,
Ussi ki patang udti hai jo paon zameen par, aur,
aasman ko chumne ki himmat rakhta hai.
Patang udegi aakash ke aahosh mein,
apni nazar unchi karke toh dekho!
Log aate hai, aayenge. Kuch na kuch sikhakar jaayenge,
Tumhe hamesha yaadein dete jaayenge,
Zindagi chalti hai. Har ek se milo.
Meethi yaadon ki mithas chakhoge,
Naye logon se rishta banakar toh dekho!
Hamesha apna atma vishwas banaye rakhna,
apne aapse se kabhi shikayat mat karna.
Jo sochte ho, nidarr hokar bolo,
Jo jaante hai, samajhte hai,
Baaki duniya ki kya parwaah!
Tumhari himmat tumhari pehchan hogi,
Apne dil ki baat batakar toh dekho!
Lots of love,
Prerana
Ussi ki patang udti hai jo paon zameen par, aur,
aasman ko chumne ki himmat rakhta hai.
Patang udegi aakash ke aahosh mein,
apni nazar unchi karke toh dekho!
Log aate hai, aayenge. Kuch na kuch sikhakar jaayenge,
Tumhe hamesha yaadein dete jaayenge,
Zindagi chalti hai. Har ek se milo.
Meethi yaadon ki mithas chakhoge,
Naye logon se rishta banakar toh dekho!
Hamesha apna atma vishwas banaye rakhna,
apne aapse se kabhi shikayat mat karna.
Jo sochte ho, nidarr hokar bolo,
Jo jaante hai, samajhte hai,
Baaki duniya ki kya parwaah!
Tumhari himmat tumhari pehchan hogi,
Apne dil ki baat batakar toh dekho!
Lots of love,
Prerana
Comments
Post a Comment